Ye dard e la fana to naseebon mein nahi tha Ye Katib e taqdeer se zid kar ke lia hai



یہ درد لافنا تو نصیبوں میں نہیں تھا
یہ کاتبِ تقدیر سے ضد کر کے لیا ﮬﮯ
ن م راشد

Ye dard e la fana to naseebon mein nahi tha
Ye Katib e taqdeer se zid kar ke lia hai

Noon Meem Rashid


Toot jane ka dar bana hua hai Dil to ab dard e sar bana hua hai



ٹوٹ جانے کا ڈر بنا ہوا ہے
‏دل تو اب دردِ سر بنا ہوا ہے

دل میں ہر شکل کی ہزار اشکال
‏آئینہ ٹوٹ کر بنا ہوا ہے

میں مکمل تو تجھ سے ہو نہ سکا
‏تُو بڑا کوزہ گر بنا ہوا ہے

Toot jane ka dar bana hua hai
Dil to ab dard e sar bana hua hai

Dil mein har shakl ki hazar ashkal
Aiyna toot kar bana hua hai

Main mukammal to tujh se ho na saka
Tu bada kooza gar bana hua hai


Veerani Tanhaiy Khamoshi Sard hawa Angan mein udte zard patte Aur Main



ویرانی
تنہائی
خاموشی
سرد ہوا
آنگن میں اُڑتے زرد پتے
اور
میں

Veerani
Tanhaiy
Khamoshi
Sard hawa
Angan mein udte zard patte
Aur
Main


Jo seekhni ho zuban e sukoot bismiLlah Khamoshiyon ki mukammal lughaat hain hum loag



جو سیکھنی ہو زبانِ سکوت بِسم اللّٰہ
خموشیوں کی مکمل لُغات ہیں ہم لوگ

کہانیوں کے وہ کردار جو لکھے نہ گئے
خبر سے حذف شدہ واقعات ہیں ہم لوگ

کسی کو راستہ دیں کسی کو پانی بھی نہیں
کہیں پہ نِیل، کہیں پہ فُرات ہیں ہم لوگ

ہمیں جلا کے کوئی شب گزار سکتا ﮬﮯ
سڑک پہ بکھرے ہوئے کاغذات ہیں ہم لوگ
عمیر نجمی

Jo seekhni ho zuban e sukoot bismiLlah
Khamoshiyon ki mukammal lughaat hain hum loag

Kahaniyan ke wo kirdar jo likhhe na gaye
Khabar se hazaf shuda waqiyat hain hum loag

Kisi ko raasta den kisi ko pani bhi nahi
Kahin pe Neel, kahin pe Furat hain hum loag

Humen jalaa ke koi shab guzaar sakta hai
Sadak pe bikhhre huay kaghzat hain hum loag

Umair Najmi


Zindagi, hum tere kund zehn se shagird jinhen Kuch sawalat samajhne mein bohat der lagi



زندگی، ہم تیرے کُندذہن سے شاگرد جنہیں
کچھ سوالات سمجھنے میں بہت دیر لگی

کون دشمن ہے، کسے دوست سمجھنا ہے یہاں
ہم کو حالات سمجھنے میں بہت دیر لگی

Zindagi, hum tere kund zehn se shagird jinhen
Kuch sawalat samajhne mein bohat der lagi

Kaun dushman hai, kise dost samajhna hai yahan
Hum ko halaat samajhne mein bohat der lagi


Tevar tere ay rashk e qamar dekh rahe hain Hum sham se asaar e sehr dekh rahe hain



تیور ترے اے رشک قمر، دیکھ رہے ہیں
ہم شام سے آثار سحر دیکھ رہے ہیں

کچھ دیکھ رہے ہیں دل بسمل کا تڑپنا
کچھ غور سے قاتل کا ہنر دیکھ رہے ہیں
مرزا داغ دہلوی

Tevar tere ay rashk e qamar dekh rahe hain
Hum sham se asaar e sehr dekh rahe hain

Kuch dekh rahe hain dil e bismil ka tadapna
Kuch ghaur se qatil ka hunar dekh rahe hain

Mirza Dagh Dehlvi


Tu bhi ay shakhs, kia kare akhir Mujh ko sar phodne ki adat hai



تو بھی اے شخص، کیا کرے آخر
مجھ کو سَر پھوڑنے کی عادت ﮬﮯ

Tu bhi ay shakhs, kia kare akhir
Mujh ko sar phodne ki adat hai


Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo